bas ek bar kisi ne gale lagaya tha phir us ke baad na main tha na mera saya tha gali mein log bhi the mere us ke dushman log wo sab pe hansta hua mere dil mein aaya tha us ek dasht mein sau shahr ho gae aabaad jahan kisi ne kabhi karwan lutaya tha wo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle ki jin se main ne khud apna suragh paya tha mere wajud se gulzar ho ke nikli hai wo aag jis ne tera pairahan jalaya tha mujhi ko tana-e-ghaarat-gari na de pyare ye naqsh main ne tere hath se mitaya tha usi ne rup badal kar jaga diya aakhir jo zahr mujh pe kabhi nind ban ke chhaya tha 'zafar' ki khak mein hai kis ki hasrat-e-tamir khayal-o-khwab mein kis ne ye ghar banaya tha