Jindgi kya hai aansuo ka dariya hai
Bah jaye in aasuo main dil karta hai
Jindgi ke har mod pe gam hi mile hain
Kho jayen kis mor pe dil karta hai
Apna jise bhi samjha wahi dur ho gaya
Har kisi se bichhar jane ko dil karta hai
Kitne jakhm khayen hain phulon se hamne
Kanton se dil lagane ko dil karta hai
Ye jindgi tujhe na ras aa saki
‘sang-e-dil’ (jiska ka dil pathar ka ho)
Na jane kyon ab to mar jane ko dil karta hai.