aaj ke din ko yun bhar jaunga ban ke ek umr guzar jaunga subh mein paida hua tha phir se aur phir raat ko mar jaunga main taaqub mein hun apne dil ke ye jidhar jae udhar jaunga ye salib aur ye kilen mujh se jo nikaloge bikhar jaunga is ladai mein mere dar se meri chhod kar apni sipar jaunga haar ke bhi mujhe jaana jo pade main jhuka ke nahin sar jaunga manzilen nam tumhaare kar ke sath mein le ke dagar jaunga khatm mera ye safar hoga nahin raste mein ho to ghar jaunga baad mere na bhari jaegi wo jagah dil mein main kar jaunga mustahiq aankh milegi jo kahin de ke us ko main nazar jaunga kuchh ghadi sath nibha bhi dun to kya aakhirash to main magar jaunga pyas ko rakh ke kinare us ke ye jo sahra hai main tar jaunga