aaj mujhko bhi mere ahbab dhoka de gae

aaj mujh ko bhi mere ahbab dhoka de gae
main tawana shakhs tha aasab dhoka de gae

ganw ki kuchh ladkiyan apne ghade bharne gain
khushk tha pani wahan talab dhoka de gae

jo nazar aate the aksar un jabinon par tujhe
kya karen mathe ke wo mehrab dhoka de gae

apne hathon se khilata tha magar wo ud gae
aaj mujh ko wo mere surkhab dhoka de gae

main muafi chahta hun mujh se ghalati ho gai
kuchh bhi mushkil tha nahin erab dhoka de gae

aaj se main hijr katunga tasalli se 'sahar'
jo kabhi dekhe the main ne khwab dhoka de gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close