aasman ka na raha aur zamin ka na raha gham ki jo shakh se tuta wo kahin ka na raha itne be-rang ujalon se nazar guzri hai hausla aankh ko ab khwab-e-hasin ka na raha waqt ne sare bharoson ke shajar kat diye ab to saya bhi koi khak-nashin ka na raha kaun ab us ko ujadne se bacha sakta hai hae wo ghar ki jo apne hi makin ka na raha ai 'nazir' apni sharafat hai isi ki qail han ka paband hua jab tu nahin ka na raha