ab ek dard bhi dil mein nazar nahin aata

ab ek dard bhi dil mein nazar nahin aata
kisi ke kaam koi umr-bhar nahin aata

ye dil bhi dost faramosh kam nahin tujh se
ki muddaton nahin aata jidhar nahin aata

na soen din ko wo raaton ko jagte hain zarur
nahin to aankh mein itna asar nahin aata

unhin ki baat hain jo main ne yaad kar li hain
magar wo un ki zaban ka asar nahin aata

muraqabe mein hai kya kya mushahida ai shaikh
baghair us ke nazar mein asar nahin aata

adam ke nam se har ek kyun rahe bashshash
har ek shakhs ko lutf-e-safar nahin aata

ilaj aur maraz mein na thi koi nisbat
hamare samne ab chaaragar nahin aata

ghuti hi jati hain har roz quwwaten dil ki
main us ke sadqe jo arman bar nahin aata

dua ke dhang hi ahbab ko nahin aate
ghalat hai ye ki dua mein asar nahin aata

wo dard mol ki ho raat-din ki nind haram
to dekh aah mein kaisa asar nahin aata

usi ne kah diya achchha hua ki wo kya hai
meri samajh mein to ye umr-bhar nahin aata

safi' ko shairi aati hai wo bhi kuchh yun hi
use bas aur to koi hunar nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close