apni taqdir ko piTe jo pareshan hai koi

apni taqdir ko pite jo pareshan hai koi
aap ke bas mein ilaj-e-gham-e-dauran hai koi

rokiye us ko jo is waqt ghazal-khwan hai koi
jail mein naghma-sarai ka bhi imkan hai koi

apni marzi se to ugte nahin khud-raw paude
hum gharibon ka ba-har-haal nigahban hai koi

zard chehron ko tabassum ne kiya hai ruswa
warna zahir bhi na hota ki pareshan hai koi

hirs darban ko aaqa ka musahib samjhe
sabr aaqa ko samajhta hai ki darban hai koi

chap sun kar jo hata di thi utha la saqi
shaikh sahab hain main samjha tha musalman hai koi

mujh se kafir ke yahan 'shad' mukammal sarqa
asas-e-shahr bada sahab-e-iman hai koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close