aqlim-e-dil pe ishq ki farman-rawaiyan jaan-bakhsh qurbaten kahin qatil judaiyan suli chadha koi koi gharqab ho gaya kya kya wafa se hoti rahin bewafaiyan lutti hai qaid-e-zulf mein kya kya bahaar-e-husn tah mein asiriyon ki hain kya kya rihaiyan zat-e-bashar hazar girohon mein bat gai gumrah aur kar gain kuchh rah-numaiyan nadariyon mein sabr ki neamat se the ghani daulat badhi to badh gain be-eatinaiyan be-pardagi se ud gaya sharm-o-haya ka rang chehre pe ud rahi hain haya ke hawaiyan ausaf dekhna hon to auron ke dekh 'shad' ojhal hain teri aankh se teri buraiyan