arsh se ruKH jaanib-e-duniya-e-dun karna paDa

arsh se rukh jaanib-e-duniya-e-dun karna pada
bandagi mein kya se kya ye sar nigun karna pada

minnat-e-sahil bhi sar le li bhanwar mein dolte
han ye hila bhi hamein bahr-e-sukun karna pada

samne us yar ke bhi aur sar-e-darbar bhi
ek ye dil tha jise har bar khun karna pada

hum ki the ahl-e-safa ye raaz kis par kholte
qafile ka sath aakhir tark kyun karna pada

kham na ho paya to sar hum ne qalam karwa liya
wun na kuchh 'majid' hua hum se to yun karna pada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close