baat aisi hai nahin wo baat hi karta nahin jab hamein hoti zarurat bas tabhi karta nahin bap bachchon ke liye jadugari karta nahin bas musalsal kaam karne mein kami karta nahin kis qadar us ko sataya hai khuda ne ishq mein jo nahin kafir hai phir bhi bandagi karta nahin dushmanon se bhi bahut bad-tar hai mera dost wo ghalatiyon par jo meri mujh ko sahi karta nahin sochta hun hijr kaise katta hoga 'tanoj' sher jo kahta nahin aur mai-kashi karta nahin