bahaar aai hai rang-e-qayas taza liye shajar shajar ke badan par libas taza liye hamari samt kisi ne palat ke dekha nahin tamam phirte rahe lab pe pyas taza liye koi mila na kharidar hum ko sham talak bhatak rahe hain lahu ka gilas taza liye gulon ki khair nahin ab kisi tarah shayad khizan ka qafila nikla hai aas taza liye na jaane kaun si duniya mein khoya rahta hai abhi to aaya hai hosh-o-hawas taza liye ye to kisi ko pata hi nahin chala 'atish' kahan se aai hawa sabz ghas taza liye