haalat ke dariyaon mein KHatre ke nishan tak

haalat ke dariyaon mein khatre ke nishan tak
chal paenge kya aap mere sath wahan tak

main mulk-badar sabr bhi kar sakti thi lekin
ye dekhna tha zulm ki sarhad hai kahan tak

khuddar tabiat ko guzarti hai giran-bar
jab tishna-labi jati hai khud aab-e-rawan tak

hum jurat-e-izhaar ke us daur se guzre
jis daur mein alfaz ki kanti thi zaban tak

ta-hadd-e-nazar bahta tha ek samt samundar
ek samt magar pyas se ainthi thi zaban tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close