har ek lafz mein poshida ek alao na rakh hai dosti to takalluf ka rakh-rakhao na rakh har ek aks rawani ki nazr hota hai nadi se kaun ye ja kar kahe bahao na rakh ye aur baat zamane pe aashkar na ho meri nazar se chhupa kar tu dil ka ghao na rakh hisar-e-zat se kat kar to ji nahin sakte bhanwar ki zad se yun mahfuz apni naw na rakh ye inkisar mubarak 'shamim' tujh ko magar ab itna shakh-e-samar-dar mein jhukaw na rakh