har ghadi karb-e-musalsal mein kati jati hai zindagi apne gunahon ki saza pati hai yaad aaun ki na aaun meri qismat lekin un se ummid-e-mulaqat chali jati hai yun mere baad hai duniya pe udasi tari jaise duniya mere haalat ka gham khati hai jab bhi aata hai tasawwur tere insanon ka ek fariyaad mere munh se nikal jati hai khush raho dasht-e-tamanna ki hawao ki mujhe tum se bichhde hue yaron ki mahak aati hai zindagi mein kai aise bhi mile the sathi ruh ab jin ke tasawwur se bhi ghabraati hai ghaur karta hun jo 'shafqat' kabhi tanhai mein apne haalat pe ta-der hansi aati hai