ishq ki barbaadiyon ka ek yahi hasil sahi

ishq ki barbaadiyon ka ek yahi hasil sahi
tu nahin apna to tera gham sharik-e-dil sahi

zindagi ko zindagi ki kuchh khushi hasil sahi
dard-e-mahrumi sahi ya soz-e-dard-e-dil sahi

tu agar mumkin nahin to gham bhi tera kam nahin
ek shai hasil sahi aur ek be-hasil sahi

samne un ke magar phir bhi nikal aate hain ashk
kitne hi pardon mein pinhan raaz-e-soz-e-dil sahi

khair ho yarab mere azm-o-yaqin ki khair ho
lakh ehsas-e-fareb-e-duri-e-manzil sahi

justuju ne dost aakhir justuju-e-dost hai
rahraw-e-rah-e-talab gum-karda-e-manzil sahi

us ki ek ek aan par 'sabir' ke jaan-o-dil nisar
istilah-e-am mein mashhur wo qatil sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close