jine ko ek-adh bahana kafi hota hai sachcha ho to ek fasana kafi hota hai chand ko main ne jab bhi dekha ye ehsas hua ek sahra mein ek diwana kafi hota hai hum ruthen to ghar ke kamre kam pad jate hain hum chahen to ek sirhana kafi hota hai jite-ji ye baat na mani mar ke man gae sab kahte the ek thikana kafi hota hai