kaun hai mera kharidar nahin dekhta main yani bazar mein meyar nahin dekhta main khwab aankhon mein chale aate hain aansu ban kar is liye tujh ko lagatar nahin dekhta main tera is bar mujhe dekhna banta hai dost itni ummid se har bar nahin dekhta main kab talak tujh ko yunhi dekhte rahna hoga zindagi ja tujhe is bar nahin dekhta main