mahakne ka qarina aa gaya hai ghazal ko zakhm sina aa gaya hai charaghon ki lawen ab sust kar do sitaron ko pasina aa gaya hai ai meri zindagi tujh se bichhad kar mujhe qiston mein jina aa gaya hai chalo tufan se bhi ab baat kar len kinare par safina aa gaya hai utar jaega suraj tera nashsha december ka mahina aa gaya hai