main na Thahrun na jaan tu Thahre

main na thahrun na jaan tu thahre
kaun lamhon ke ru-ba-ru thahre

na guzarne pe zindagi guzri
na thaharne pe chaar-su thahre

hai meri bazm-e-be-dili bhi ajib
dil pe rakkhun jahan subu thahre

main yahan muddaton mein aaya hun
ek hangama ku-ba-ku thahre

mahfil-e-rukhsat-e-hamesha hai
aao ek hashr-e-ha-o-hu thahre

ek tawajjoh ajab hai samton mein
ki na bolun to guftugu thahre

kaj-ada thi bahut umid magar
hum bhi 'jaun' ek hila-ju thahre

ek chaak-e-barhngi hai wajud
pairahan ho to be-rafu thahre

main jo hun kya nahin hun main khud bhi
khud se baat aaj du-badu thahre

bagh-e-jaan se mila na koi samar
'jaun' hum to numu numu thahre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close