mere nishan bahut hain jahan bhi hota hun magar dar-asl wahin be-nishan bhi hota hun usi ke rahta hun khwab-o-khayal mein aksar magar kabhi kabhi apne yahan bhi hota hun idhar udhar mujhe rakhta hai wo bahut lekin kabhi-kabhaar magar darmiyan bhi hota hun laga bhi karti hai bazar mein meri qimat kisi kisi ke liye raegan bhi hota hun banae rakhte hain sab mir-e-karwan bhi mujhe kabhi main gard-e-rah-e-karwan bhi hota hun bashar hun main kai majburiyan bhi hain meri udas rahte hue shadman bhi hota hun pada thethurta bhi hun barf barf mausam mein usi zamane mein aatish-fishan bhi hota hun badalti rahti hai meri bhi kaifiyat kya kuchh ki aag hi nahin rahta dhuan bhi hota hun main jaan-o-jism hun ghar ho ki wo gali ho 'zafar' yahan bhi hota hun main aur wahan bhi hota hun