saya deta nahin shajar mera By Ghazal << tera rasta bhi dekhta hai... sari raat na sone se >> saya deta nahin shajar mera mujh pe khulta nahin hunar mera hun safar mein kai zamanon se rasta dekhta hai ghar mera kuchh hua hai mere darichon mein ek parinda hai shakh par mera barishon ke qarib rahta hai is liye sabz hai shajar mera Share on: