un ki sanjidgi se kibr-e-jahan tut gaya shar ki paspai hui zor-e-sinan tut gaya bagh mein chhate hi tarik khizan ka mausam chehra-e-gul se tabassum ka saman tut gaya un ke jalwe ki zara dekho asar-angezi un ki aamad hui aur shahr-e-butan tut gaya tum to iqan ki sidhi pe chadhane se rahe kaise kahte ho ki imkan-e-guman tut gaya kaun hai is ka sabab aaj maishat hai tabah kya hua aaj taraqqi ka nishan tut gaya qalb mein tere rahe khwesh-o-aqarib ka gham fikr karna na kabhi apna jahan tut gaya muntazir jis ke liye 'aini' raha shauq-e-bahaar wo hua jalwa-fishan zor-e-khizan tut gaya