ye tum se kis ne kaha hai ki dastan na kaho magar khuda ke liye itna sach yahan na kaho ye kaisi chhat hai ki shabnam tapak rahi hai yahan ye aasman hai tum us ko saeban na kaho rah-e-hayat mein nakaamiyan zaruri hain ye tajraba hai ise sai-e-raegan na kaho meri jabin bataegi azmaten us ki use khuda ke liye sang-e-astan na kaho yahan muqim hain viraniyan rag-o-pai mein tum aur kuchh bhi kaho us ko shahr-e-jaan na kaho jahan jahan bhi sitam-gar milen zarurat hai ki us maqam ko tum jada-e-aman na kaho muashare ka asar to zarur hai 'alwi' meri ghazal ko zamane ki dastan na kaho