dipawli

meri sanson ko git aur aatma ko saz deti hai
ye diwali hai sab ko jine ka andaz deti hai
hirdai ke dwar par rah rah ke deta hai koi dastak
barabar zindagi aawaz par aawaz deti hai
simatta hai andhera panw phailati hai diwali
hansae jati hai rajni hanse jati hai diwali
qataren dekhta hun chalte-phirte mah-paron ki
ghataen aanchalon ki aur barkha hai sitaron ki
wo kale kale gesu surkh hont aur phul se aariz
nagar mein har taraf pariyan tahalti hain bahaaron ki
nigahon ka muqaddar aa ke chamkati hai diwali
pahan kar dip-mala naz farmati hai diwali
ujale ka zamana hai ujale ki jawani hai
ye hansti jagmagati raat sab raaton ki rani hai
wahi duniya hai lekin husn dekho aaj duniya ka
hai jab tak raat baqi kah nahin sakte ki fani hai
wo jiwan aaj ki raat aa ke barsati hai diwali
pasina maut ke mathe pe chhalkati hai diwali
sabhi ke dip sundar hain hamare kya tumhaare kya
ujala har taraf hai is kinare us kinare kya
gagan ki jagmagahat pad gai hai aaj maddham kyun
munderon aur chhajjon par utar aae hain tare kya
hazaron sal guzre phir bhi jab aati hai diwali
mahal ho chahe kutiya sab pe chha jati hai diwali
isi din darupadi ne krishn ko bhai banaya tha
wachan ke dene wale ne wachan apna nibhaya tha
janam din laxmi ka hai bhala is din ka kya kahna
yahi wo din hai jis ne ram ko raja banaya tha
kai itihas ko ek sath dohraati hai diwali
mohabbat par wijay ke phul barsati hai diwali
gale mein haar phulon ka charan mein dip-malaen
mukut sar par hai mukh par zindagi ki rup-rekhaen
liye hain kar mein mangal-ghat na kyun ghat ghat pe chha jaen
agar partaw pade murda-dilon par wo bhi ji jaen
ajab andaz se rah rah ke muskati hai diwali
mohabbat ki lahar nas nas mein daudati hai diwali
tumhaara hun tum apni baat mujh se kyun chhupate ho
mujhe malum hai jis ke liye chakkar lagate ho
banaras ke ho tum ko chahiye tyauhaar ghar karna
buton ko chhod kar tum kyun allahabad jate ho
na jao aise mein bahar 'nazir' aati hai diwali
ye kashi hai yahin to rang dikhlati hai diwali
This is a great diwali shayari hindi. True lovers of dukhi aatma shayari will love this. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close