ghuncha-e-dil mard ka roz-e-azal jab khul chuka jis qadar taqdir mein likkha hua tha mil chuka dafatan gunji sada phir aalam-e-anwar mein aurten duniya ki hazir hon mere darbar mein auraton ka karwan par karwan aane laga phir faza mein parcham-e-inam lahrane laga naz se huren tarane hamd ke gane lagin aurten bhar bhar ke apni jholiyan jaane lagin jab raha kuchh bhi na baqi kisa-e-inam mein kanpti hazir huin phir asia ki aurten dil mein khauf-e-shumai-e-qismat se ghabrai hui roab se nichi nigahen aankh sharmai hui hilm ke sanche mein ruh-e-naz ko dhaale hue gardanon mein kham saron par chadaren dale hue aakhir is andaz par rahmat ko pyar aa hi gaya mai-kade par jhum kar abr-e-bahaar aa hi gaya muskura kar khaliq-e-arz-o-sama ne di nida ai ghazal-e-mashriqi aa takht ke nazdik aa nematen sab bat chukin lekin na hona muzmahil sab ko bakhshe hain dimagh aur le tujhe dete hain dil ye wahi dil hai jo mazrab hoke soz o saz se mere pahlu mein dhadakta tha ajab andaz se tujh ko wo rukh apni sirat ka diye dete hain hum jis mein yazdani nissaiyat ki zulfon ke hain kham aa ki tujh ko sahib-e-mahr-o-wafa karte hain hum le khud apni jumbish-e-mizhgan ata karte hain hum pahlu-e-khatun-e-mashriq mein ba-sad tamkin o naz muntaqil ho ja uluhiyat ke sine ke gudaz aurten aqwam-e-alam ki bhatak jaengi jab tu rahegi ban ke us tufan mein ek mauj-e-tarab husn ho jaega jab auron ka waqf-e-khas-o-am didani hoga tere khalwat-kade ka ehtimam aalam-e-niswan pe kali raat jab chha jaegi ye tere mathe ki bindi subh ko sharmaegi aurten bechaingi jab stage par ba-raqs-o-chang apni aankhon ki lagawat apne rukhsaron ka rang un ke aage har naya maidan hoga jalwa-gah aur tera stage hoga sirf shauhar ki nigah godiyan phaila ke jab mangengi ba-sidq-o-safa aurten aulad ke paida na hone ki dua muzhda-baad ai asia ki dukhtar-e-pakiza-tar aanch aaegi na tere madarana zauq par maon ki ghaflat se jab bachchon ko pahunchega gazand jab fughan be-tarbiyat aulad ki hogi buland sirf ek tera tabassum ai jamal-e-tabnak sina-e-atfal mein paida karega ruh-e-pak wo hararat tere honton ki na hogi paemal jiske shoalon se nikhar jata hai rang-e-naunihaal wo teri masum ranai na hogi muzmahil bakhshati hai nasl-e-insani ke pahlu ko jo dil wo bhi din aaega jab tujh ko hi ai mast-e-hijab zeb dega mathar-e-aulad-e-adam ka khitab jab karegi sinf-e-nazuk apni uryani pe naz sirf ek tu is talatum mein rahegi pak-baz unke dil jab honge yaad-e-masiyat se pash pash tere rukh par ek bhi hogi na mazi ki kharash un ki raaten khauf-e-ruswai se hongi jab daraaz tere sine mein kisi shab ka na hoga koi raaz dahshat-e-farda se tharraega jab un ka ghurur haal se tu hogi raazi khauf-e-mustaqbil se dur jab udegi un ki chashm-e-dam-e-parwarda mein khak narm dore teri aankhon ke rahenge tabnak narm honge tere jalwe bhi teri guftar bhi ba-haya hogi teri pazeb ki jhankar bhi chhanw bhi hogi na teri bazm-e-naw-nosh mein tera partaw tak rahega sharm ke aaghosh mein ai shua-e-arz-e-mashriq teri iffat ka shiar kaj karega mulk o millat ki kulah-e-iftikhar aabru hoga gharane bhar ki tera rakh-rakhao dega tera bap shan-e-fakhr se monchhon pe taw teri aankhon ki kiran se ai jahan-e-e'tibar jagmagaegi nasab-namon ki lauh-e-zar-nigar bul-hawas ka sar jhuka degi teri adna jhalak hogi lahje mein tere nabz-e-tahaarat ki dhamak teri peshani pe jhalkega misal-e-barq-e-tur tifl ka naz-e-sharafat aur shauhar ka ghurur ilm se har chand tujh ko kam kiya hai bahra-mand lekin is se ho na ai masum aurat dard-mand jab zarurat se ziyaada naz farmata hai ilm aariz-e-taban ke bhole-pan ko kha jata hai ilm nutq ho jata hai ilmi istelahon se udas lal-e-lab mein shahad ki baqi nahin rahti mithas ilm utha leta hai bazm-e-jaan se sham-e-etaqad khal-o-khad ki maut hai chehre ki shan-e-ijtihad qar-e-wahshat ki taraf mudti hai aksar rah-e-fan jhankti rahti hai is ghurfe se chashm-s-ahraman chhod deti takallum ko mulaem qil-o-qal ilm ka had se guzar jaana hai tauhin-e-jamal ilm se badhti hai aql aur aql hai wo bad-dimagh jo bujha deti hai sine mein mohabbat ka charagh ilm se baqi nahin rahte mohabbat ke sifat aur mohabbat hai faqat le de ke teri kaenat dekh tujh par ilm ki bharpur pad jae na zarb bhag is parde mein hain shaitan ke aalat-e-harb ilm se rahti hai paband-e-shikan jis ki jabin naz se shanon par us ki zulf lahraati nahin waqt se pahle bula lete hain piri ko ulum umr se aage nikal jate hain chehre bil-umum jin labon ko chat pad jati hai qil-o-qal ki un ki garmi ko tarasti hai jabin atfal ki ek junun-parwar bagula hai wo ilm-e-be-wasuq jis ki rau mein kanpne lagte hain shauhar ke huquq dur hi se aise ilm-e-jahl-parwar ko salam husn-e-niswan ko bana deta ho jo jagir-e-am jis jagah huran-e-jannat ka kiya hai tazkira kya kaha hai aur bhi kuchh hum ne juz husn o haya tazkira huron ka hai mahz ek taswir-e-jamal hum ne kya unko kaha hai sahib-e-fazl-o-kamal hech hai har chiz zewar ghaza afshan rang o khal husn khud apni jagah hai sau kamalon ka kamal chandni, qaus-e-quzah, aurat, shagufa, lala-zar ilm ka in narm shanon par koi rakhta hai bar? raushnai mein kahin ghulti hai mauj-e-mahtab kya koi auraq-e-gul par taba karta hai kitab mere aalam mein nahin is bad-mazaqi ka shiar kakul-e-afsana ho dosh-e-haqiqat se do-chaar husn ka aaghosh-e-rangin dil-fareb-o-dilruba ilm se ban jae aqlidas ka mahz ek daera! mushaf-e-ru-e-kitabi ru-kash-e-naz-e-gulab aur ban jae ye neamat daftar-e-ilm-e-hisab naghma-e-shirin ke daman mein ho shor-e-kaenat bazm-e-kawish mein jale sham-e-shabistan-e-hayat garm ho tezab ki khaulan se lale ka ayagh ghuncha-e-nauras ka taq aur pir-e-maktab ka charag shahpar-e-bulbul pe khinchi jae taswir-e-shighaal! motiyon par sabt ho tufan ki mohr-e-jalal subh gharq-e-bahas ho ghunche khilane ke ewaz dars den maujen saba ki gungunane ki ewaz tu na karna maghribi matwaliyon ki race dekh ghat mein teri laga hai fitna-e-iblis dekh tu na un ki tarah bharna arsa-e-fan mein chhalang kokh ta thandi rahe bachchon se aur sandal se mang dukhtaran-e-maghribi ko de na aurat ka khitab ye mujassam ho gae hain kuchh gunahgaron ke khwab phir rahi hain ya teri nazron ke aage pur-faza auraton ke bhes mein shaitan ki sartabiyan ilm hasil kar faqat tadbir-e-manzil ke liye wo dimaghon ke liye hain aur tu dil ke liye!
This is a great anwar masood shayari video. True lovers of ye raat shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this hamd ki shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!