mujhe bhul ja

mere saqiya mujhe bhul ja
mere dilruba mujhe bhul ja

na wo dil raha na wo ji raha
na wo daur-e-aish-o-khushi raha

na wo rabt-o-zabt-e-dili raha
na wo auj-e-tishna-labi raha

na wo zauq-e-baada-kashi raha
main alam-nawaz hun aaj-kal

main shikasta-saz hun aaj-kal
main sarapa raaz hun aaj-kal

mujhe ab khayal mein bhi na mila
mujhe bhul ja mujhe bhul ja

mujhe zindagi se aziz-tar
faqat ek teri hi zat thi

teri har nigah mere liye
sabab-e-sukun-e-hayat thi

meri dastan-e-wafa kabhi
teri sharh-e-husn-e-sifat thi

magar ab to rang hi aur hai
na wo tarz hai na wo taur hai

ye sitam bhi qabil-e-ghaur hai
tujhe apne husn ka wasta

mujhe bhul ja mujhe bhul ja
qasam iztirab-e-hayat ki

mujhe khamushi mein qarar hai
mere sahn-e-gulshan-e-ishq mein

na khizan hai ab na bahaar hai
yahi dil tha raunaq-e-anjuman

yahi dil charagh-e-mazar hai
mujhe ab sukun-e-digar na de

mujhe ab nawed-e-sahar na de
mujhe ab fareb-e-nazar na de

na ho wahm-e-ishq mein mubtala
mujhe bhul ja mujhe bhul ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close