tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo aur kuchh der pukarunga chala jaunga usi kuche mein jahan chand uga karte hain shab-e-tarik guzarunga, chala jaunga rasta bhul gaya, ya yahi manzil hai meri koi laya hai ki khud aaya hun malum nahin kahte hain husn ki nazren bhi hasin hoti hain main bhi kuchh laya hun, kya laya hun malum nahin yun to jo kuchh tha mere pas main sab bech aaya kahin inam mila, aur kahin qimat bhi nahin kuchh tumhaare liye aankhon mein chhupa rakkha hai dekh lo aur na dekho to shikayat bhi nahin ek to itni hasin dusre ye aaraish jo nazar padti hai chehre pe thahar jati hai muskura deti ho rasman bhi agar mahfil mein ek dhanak tut ke sinon mein bikhar jati hai garm boson se tarasha hua nazuk paikar jis ki ek aanch se har ruh pighal jati hai main ne socha hai ki sab sochte honge shayad pyas is tarah bhi kya sanche mein dhal jati hai kya kami hai jo karogi mera nazrana qubul chahne wale bahut, chah ke afsane bahut ek hi raat sahi garmi-e-hangama-e-ishq ek hi raat mein jal marte hain parwane bahut phir bhi ek raat mein sau tarah ke mod aate hain kash tum ko kabhi tanhai ka ehsas na ho kash aisa na ho ghere rahe duniya tum ko aur is tarah ki jis tarah koi pas na ho aaj ki raat jo meri hi tarah tanha hai main kisi tarah guzarunga chala jaunga tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo aur kuchh der pukarunga chala jaunga
Please share if you liked this!!!