waqt ki baat hai har ghuncha-e-sar-basta magar waqt kya chiz hai paimana-e-be-sakhta hai ye shab-o-roz jawani ye mah-o-sal rawan ruh kyun jism ke aage siper-andakhta hai shakh dar shakh nazar aati hai jine ki umang chor ki tarah sarakti hai ragon mein koi aag sochne ke liye shayad ye mah-o-sal nahin ai mere dida-e-be-khwab mohabbat se na bhag husn ki aag ghanimat hai ki is se pahle rag-e-ayyam thi ek ju-e-fasurda sar-e-sham sab isi aag ka indhan hain guzarne wale ek hi larzish-e-sad-rang ka partaw hai tamam