mat roko inhen pas aane do ye mujh se milne aae hain main khud na jinhen pahchan sakun kuchh itne dhundle sae hain do panw bane hariyali par ek titli baithi dali par kuchh jagmag jugnu jangal se kuchh jhumte hathi baadal se ye ek kahani nind bhari ek takht pe baithi ek pari kuchh gin gin karte parwane do nanhe nanhe dastane kuchh udte rangin ghubare babbu ke dupatte ke tare ye chehra banno budhi ka ye tukda man ki chudi ka ye mujh se milne aae hain main khud na jinhen pahchan sakun kuchh itne dhundle sae hain lasai hui rut sawan ki kuchh saundhi khushbu aangan ki kuchh tuti rassi jhule ki ek chot kasakti kulhe ki sulgi si angithi jadon mein ek chehra kitni aadon mein kuchh chandni raaten garmi ki ek lab par baaten narmi ki kuchh rup hasin kashanon ka kuchh rang hare maidanon ka kuchh haar mahakti kaliyon ke kuchh nam watan ki galiyon ke mat roko inhen pas aane do ye mujh se milne aae hain main khud na jinhen pahchan sakun kuchh itne dhundle sae hain kuchh chand chamakte galon ke kuchh bhanwre kale baalon ke kuchh nazuk shiknen aanchal ki kuchh narm lakiren kajal ki ek khoi kadi afsanon ki do aankhen raushan-danon ki ek surkh dulai got lagi kya jaane kab ki chot lagi ek chhalla phiki rangat ka ek loket dil ki surat ka rumal kai resham se kadhe wo khat jo kabhi main ne na padhe mat roko inhen pas aane do ye mujh se milne aae hain mein khud na jinhen pahchan sakun kuchh itne dhundle sae hain kuchh ujdi mangen shamon ki aawaz shikasta jamon ki kuchh tukde khali botal ke kuchh ghungru tuti pael ke kuchh bikhre tinke chilman ke kuchh purze apne daman ke ye tare kuchh tharrae hue ye git kabhi ke gae hue kuchh sher purani ghazlon ke unwan adhuri nazmon ke tuti hui ek ashkon ki ladi ek khushk qalam ek band ghadi mat roko inhen pas aane do ye mujh se milne aae hain main khud na jinhen pahchan sakun kuchh itne dhundle sae hain kuchh rishte tute tute se kuchh sathi chhute chhute se kuchh bigdi bigdi taswiren kuchh dhundli dhundli tahriren kuchh aansu chhalke chhalke se kuchh moti dhalke dhalke se kuchh naqsh ye hairan hairan se kuchh aks ye larzan larzan se kuchh ujdi ujdi duniya mein kuchh bhatki bhatki aashaen kuchh bikhre bikhre sapne hain ye ghair nahin sab apne hain mat roko inhen pas aane do ye mujh se milne aae hain main khud na jinhen pahchan sakun kuchh itne dhundle sae hain
This is a great sawan mahina shayari. True lovers of kajal sad shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore hariyali teej shayari. Please share if you liked this!!!