chhod de mutrib bas ab lillah pichha chhod de kaam ka ye waqt hai kuchh kaam karne de mujhe teri tanon mein hai zalim kis qayamat ka asar bijliyan si gir rahi hain khirman-e-idrak par ye khayal aata hai rah rah kar dil-e-betab mein bah na jaun phir tere naghmat ke sailab mein chhod kar aaya hun kis mushkil se main jam-o-subu! aah kis dil se kiya hai main ne khun-e-arzu phir shabistan-e-tarab ki rah dikhlata hai tu mujh ko karna chahta hai phir kharab-e-rang-o-bu main ne mana wajd mein duniya ko la sakta hai tu main ne ye mana gham-e-hasti mita sakta hai tu main ne ye mana gham-e-hasti mita sakta hai tu main ne mana teri mausiqi hai itni pur-asar jhum uthte hain farishte tak tere naghmat par han ye sach hai zamzame tere machate hain wo dhum jhum jate hain manazir, raqs karte hain nujum tere hi naghme se wabasta nashat-e-zindagi tere hi naghme se kaif-o-imbisat-e-zindagi teri saut-e-sarmadi bagh-e-tasawwuf ki bahaar tere hi naghmon se be-khud aabid-e-shab-zinda-dar bulbulen naghma-sara hain teri hi taqlid mein tere hi naghmon se dhumen mahfil-e-nahid mein mujh ko tere sehr-e-mausiqi se kab inkar hai mujh ko tere lahn-e-daudi se kab inkar hai bazm-e-hasti ka magar kya rang hai ye bhi to dekh har zaban par ab sala-e-jang hai ye bhi to dekh farsh-e-giti se sakun ab mail-e-parwaz hai abr ke pardon mein saz-e-jang ki aawaz hai phenk de ai dost ab bhi phenk de apna rubab uthne hi wala hai koi dam mein shor-e-inqalab aa rahe hain jang ke baadal wo mandlate hue aag daman mein chhupae khun barsate hue koh-o-sahra mein zamin se khun ublega abhi rang ke badle gulon se khun tapkega abhi badh rahe hain dekh wo mazdur darraate hue ek junun-angez lai mein jaane kya gate hue sar-kashi ki tund aandhi dam-ba-dam chadhti hui har taraf yalghaar karti har taraf badhti hui bhuk ke mare hue insan ki fariyaadon ke sath faqa-maston ke jilau mein khana-barbaadon ke sath khatm ho jaega ye sarmaya-dari ka nizam rang lane ko hai mazduron ka josh-e-intiqam gir padenge khauf se aiwan-e-ishrat ke sutun khun ban jaegi shishon mein sharab-e-lala-gun khun ki bu le ke jangal se hawaen aaengi khun hi khun hoga nigahen jis taraf bhi jaengi jhonpadon mein khun, mahal mein khun, shabistanon mein khun dasht mein khun, wadiyon mein khun, bayabanon mein khun pur-sukun sahra mein khun, betab dariyaon mein khun dair mein khun, masjid mein khun, kalisaon mein khun khun ke dariya nazar aaenge har maidan mein dub jaengi chatanen khun ke tufan mein khun ki ranginiyon mein dub jaegi bahaar reg-e-sahra par nazar aaenge lakhon lala-zar khun se rangin faza-e-bostan ho jaegi nargis-e-makhmur chashm-e-khun-fishan ho jaegi kohsaron ki taraf se surkh-andhi aaegi ja-ba-ja aabaadiyon mein aag si lag jaegi tod kar bedi nikal aaenge zindan se asir bhul jaenge ibaadat khanqahon mein faqir hashr-dar-aghosh ho jaegi duniya ki faza daudta hoga har ek jaanib farishta maut ka surkh honge khun ke chhinton se baam-o-dar tamam gharq honge aatishin malbus mein manzar tamam is tarah lega zamana jang ka khunin-sabaq aasman par khak hogi, farq par rang-e-shafaq aur is rang-e-shafaq mein ba-hazaran aab-o-tab! jagmagaega watan ki hurriyat ka aaftab
This is a great pyar ke nagme shayari. True lovers of kutte ki dum shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this love nasihat shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!