Hye Yeh Kaisa Humko Lag Gaya

Hye yeh kaisa humko lag gaya,
rog jawani mein.
uff yeh kaisa humko lag gaya,
rog jawani mein.

tujhe paane ke liye hum toh,
ban baithe jogi chahat mein teri,
uff yeh kaisa humko lag gaya,
jog jawani mein.

tu jo aayi saamne,
ruk gaya waqt mera,
hye yeh kaisi lag gayi rok,
waqt ki rawani mein,
uff yeh kaisa humko lag gaya,
rog jawani mein.

tere chehre ka kuch,
ausa jaadu hua mujh par,
ki reh reh kar tera chehra mujhe,
dikhta raha paani mein,
uff yeh kaisa humko lag gaya,
rog jawani mein.

bhookh lage na pyaas mujhe,
hua kya yeh mujhko,
aalam-e-diwani mein,
uff yeh kaisa humko lag gaya,
rog jawani mein.

koi laakar bhi deta,
agar khabar teri,
toh deta usko apni cheeze,
khandani main,
uff yeh kaisa humko lag gaya,
rog jawani mein.

koi banata tera naam lekar,
mujhko paagal,
maanta usko bhi,
uski ehsaani main,
uff yeh kaisa humko,
lag gaya rog jawani mein.

saamne tere mujhe,
dard na ho ehsas,
hua kya mujhe,
yeh bhari jawani mein,
uff yeh kaisa humko,
lag gaya rog jawani mein.

chaundhavi ke bhi chaand se,
jyada khubsurat lagi,
tu mujhe us,
raat an-chaandani mein,
uff yeh kaisa humko lag gaya,
rog jawani mein.

tu bhi kar mujhse,
ikrar apni mohbbat ka,
aaye phir aur bhi maza,
apni prem kahani mein,
uff yeh kaisa humko lag gaya,
rog jawani mein

hye yeh kaisa humko lag gaya,
rog jawani mein.

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close