an-jaana Dar

walid se mai-kade mein mulaqat ho gai
main jis se dar raha tha wahi baat ho gai
bazm-e-sukhan mein main tha musalsal jaga raha
tha zehn bhi hazal ki dhunon mein phansa hua
khana mila tha shab na sawere ka nashta
bhule se us ke ghar ki taraf main chala gaya
achchhi tarah se meri mudaraat ho gai
main jis se dar raha tha wahi baat ho gai
kya puchhte ho daur-e-gharibi ka majra
had se badhi jo bhuk naqahat se gir pada
daman tha tar-tar gareban phata phata
us ki gali ke logon ne majnun samajh liya
bachchon ki ek fauj mere sath ho gai
main jis se dar raha tha wahi baat ho gai
afsos aarzu pe meri os pad gai
aakhir wahi hua meri duniya ujad gai
baat apni kuchh bani to bahut kuchh bigad gai
wo khud hi mujh se shadi na karne pe ad gai
jite mere raqib mujhe mat ho gai
main jis se dar raha tha wahi baat ho gai
kal raat ja pada main achanak tilak nagar
the raste mein meri kai saliyon ke ghar
jalwe bhi de sake na mujhe dawat-e-nazar
ji chahta tha phulon ki barsat ho magar
bad-qismati se juton ki barsat ho gai
main jis se dar raha tha wahi baat ho gai
achchhi tarah jo ishq mein barbaad ho gaya
har ek qaid-e-fikr se aazad ho gaya
aakhir ko mai-kade mein hi aabaad ho gaya
main madar-e-sharab ka damad ho gaya
sari hayat nazr-e-kharabaat ho gai
main jis se dar raha tha wahi baat ho gai
biwi ne meri mujh se kaha mere 'papular'
sher-o-sukhan se dil na jala mere 'papular'
hai waqt ab bhi hosh mein aa mere 'papular'
in shairon se khud ko bacha mere 'papular'
phir shairon se raat mulaqat ho gai
main jis se dar raha tha wahi baat ho gai
This is a great shadi shayari pic. True lovers of walid sahab shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore lokmanya tilak shayari in hindi. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close