ek raat main ne khwab mein dekha ye majra ek ja pe ho raha hai gadhon ka mushaere wo nile pile qumqume maidan hara-bhara baitha hai farsh-e-sabz pe ek surmai gadha jitne gadhe hain sab ke takhallus hain wahiyat kone mein baithi dum ko hilati hain kharriyat kuchh mote taze khar the kai laghar-o-nahif kuchh fanne-khan gadhe the kai mehrban sharif kuchh aise-waise aur kai shaeri ke chief sarqa-pasand aath the aur das ghazal ke thief dhenchu mein jin ki rang tha wo sare hit gae waqif na the jo sat suron se wo pit gae ba-hosh jo gadhe the wo baithe gadhi ke pas 'saghar' bhi ja ke baith gae ras-bhari ke pas kaddu sa sar liye hue chhappan-chhuri ke pas ismat tha jis ka nam wo baithi dari ke pas barfi si thuthni pe likhe band dosto munh mein zaban hai ki shakarqand dosto sidhi kanautiyon mein wo bandon ki aab-o-tab aawaz-e-shoala-war mein mahakti hui sharab palkon ki chilmanon mein chhupe raushni ke khwab tode pada tha jism ko uthta hua shabab qadren thin jin ke pas wo sar ko jhukae the jo manchale gadhe the wo thuthan uthae the mike pe aa ke shor machate hue gadhe panon ki ja pe ghas chabaate hue gadhe tirshul zehn o dil pe chalate hue gadhe diwar nafraton ki uthate hue gadhe jo the uruz-dan wo riwayat mein band the be-bahra jo gadhe the taraqqi-pasand the
This is a great gadhe ki shayari. True lovers of dum ki shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore gadha shayari in hindi. Please share if you liked this!!!