jalal-e-atish-o-barq-o-sahab paida kar ajal bhi kanp uthe wo shabab paida kar tere khiram mein hai zalzalon ka raaz nihan har ek gam par ek inqalab paida kar sada-e-tisha-e-mazdur hai tera naghma tu sang-o-khisht se chang-o-rubab paida kar bahut latif hai ai dost tegh ka bosa yahi hai jaan-e-jahan is mein aab paida kar tere qadam pe nazar aae mahfil-e-anjum wo bankpan wo achhuta shabab paida kar tera shabab amanat hai sari duniya ki tu khar-zar-e-jahan mein gulab paida kar sukun-e-khab hai be-dast-o-pa zaifi ka tu iztirab hai khud iztirab paida kar na dekh zohd ki tu ismat-e-gunah-alud gunah mein fitrat-e-ismat-maab paida kar tere jilau mein nai jannaten nae dozakh nai jazaen anokhe azab paida kar sharab khinchi hai sab ne gharib ke khun se tu ab amir ke khun se sharab paida kar gira de qasr-e-tamaddun ki ek fareb hai ye utha de rasm-e-mohabbat azab paida kar jo ho sake hamein pamal kar ke aage badh jo ho sake to hamara jawab paida kar bahe zamin pe jo mera lahu to gham mat kar isi zamin se mahakte gulab paida kar tu inqalab ki aamad ka intizar na kar jo ho sake to abhi inqalab paida kar
This is a great amir khan shayari snapdeal. True lovers of kismat shayari hindi me will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this dosti paisa shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!