jab aadmi ke pet mein aati hain rotiyan phuli nahin badan mein samati hain rotiyan aankhen pari-rukhon se ladati hain rotiyan sine upar bhi hath chalati hain rotiyan jitne maze hain sab ye dikhati hain rotiyan roti se jis ka nak talak pet hai bhara karta pare hai kya wo uchhal kud ja-ba-ja diwar phand kar koi kotha uchhal gaya thattha hansi sharab sanam saqi is siwa sau sau tarah ki dhum machati hain rotiyan jis ja pe handi chulha tawa aur tanur hai khaliq ki qudraton ka usi ja zuhur hai chulhe ke aage aanch jo chalti huzur hai jitne hain nur sab mein yahi khas nur hai is nur ke sabab nazar aati hain rotiyan aawe tawe tanur ka jis ja zaban pe nam ya chakki chulhe ke jahan gulzar hon tamam wan sar jhuka ke kije dandwat aur salam is waste ki khas ye roti ke hain maqam pahle inhin makanon mein aati hain rotiyan in rotiyon ke nur se sab dil hain bor bor aata nahin hai chhalni se chhan-chhan gire hai nur peda har ek us ka hai barfi o moti chur hargiz kisi tarah na bujhe pet ka tanur is aag ko magar ye bujhati hain rotiyan puchha kasi ne ye kisi kaamil faqir se ye mehr-o-mah haq ne banae hain kahe ke wo sun ke bola baba khuda tujh ko khair de hum to na chand samjhen na suraj hain jaante baba hamein to ye nazar aati hain rotiyan phir puchha us ne kahiye ye hai dil ka tur kya is ke mushahide mein hai khulta zuhur kya wo bola sun ke tera gaya hai shuur kya kashf-ul-qulub aur ye kashf-ul-qubur kya jitne hain kashf sab ye dikhati hain rotiyan roti jab aai pet mein sau qand ghul gae gulzar phule aankhon mein aur aish tul gae do tar niwale pet mein jab aa ke dhul gae chaudah tabaq ke jitne the sab bhed khul gae ye kashf ye kamal dikhati hain rotiyan roti na pet mein ho to phir kuchh jatan na ho mele ki sair khwahish-e-bagh-o-chaman na ho bhuke gharib dil ki khuda se lagan na ho sach hai kaha kasi ne ki bhuke bhajan na ho allah ki bhi yaad dilati hain rotiyan ab aage jis ke mal-pue bhar ke thaal hain pure bhagat unhen kaho sahab ke lal hain aur jin ke aage roghni aur shir-mal hain aarif wahi hain aur wahi sahab-kamal hain pakki-pakai ab jinhen aati hain rotiyan kapde kisi ke lal hain roti ke waste lambe kisi ke baal hain roti ke waste bandhe koi rumal hain roti ke waste sab kashf aur kamal hain roti ke waste jitne hain rup sab ye dikhati hain rotiyan roti se nache pyaada qawaed dikha dikha aswar nache ghode ko kawa laga laga ghunghru ko bandhe paik bhi phirta hai nachta aur is siwa jo ghaur se dekha to ja-ba-ja sau sau tarah ke nach dikhati hain rotiyan roti ke nach to hain sabhi khalq mein pade kuchh bhand bhigte ye nahin phirte nachte ye randiyan jo nache hain ghunghat ko munh pe le ghunghat na jaano dosto tum zinhaar use is parde mein ye apne kamati hain rotiyan ashrafon ne jo apni ye zaten chhupai hain sach puchhiye to apni ye shanen badhai hain kahiye unhon ki rotiyan kis kis ne khai hain ashraf sab mein kahiye to ab nan-bai hain jin ki dukan se har kahin jati hain rotiyan duniya mein ab badi na kahin aur nikoi hai ya dushmani o dosti ya tund-khui hai koi kisi ka aur kisi ka na koi hai sab koi hai usi ka ki jis hath doi hai naukar nafar ghulam banati hain rotiyan roti ka ab azal se hamara to hai khamir rukhi hi roti haq mein hamare hai shahd-o-shir ya patli howe moti khamiri ho ya fatir gehun jawar bajre ki jaisi ho 'nazir' hum ko to sab tarah ki khush aati hain rotiyan
This is a great dosto ke upar shayari. True lovers of roti ki shayari will love this. Please share if you liked this!!!