ye kaun muskurahaton ka karwan liye hue shabab-e-sher-o-rang-o-nur ka dhuan liye hue dhuan ki barq-e-husn ka mahakta shoala hai koi chatili zindagi ki shadmaniyan liye hue labon se pankhudi gulab ki hayat mange hai kanwal si aankh sau nigah-e-mehrban liye hue qadam qadam pe de uthi hai lau zamin-e-rah-guzar ada ada mein be-shumar bijliyan liye hue nikalte baithte dinon ki aahaten nigah mein rasile hont fasl-e-gul ki dastan liye hue khutut-e-rukh mein jalwa-gar wafa ke naqsh sar-ba-sar dil-e-ghani mein kul hisab-e-dostan liye hue wo muskuraati aankhen jin mein raqs karti hai bahaar shafaq ki gul ki bijliyon ki shokhiyan liye hue ada-e-husn barq-pash shola-zan nazara-soz faza-e-husn udi udi bijliyan liye hue jagane wale naghma-e-sahar labon pe maujzan nigahen nind lane wali loriyan liye hue wo nargis-e-siyah-e-nim-baz, mai-kada-ba-dosh hazar mast raaton ki jawaniyan liye hue taghaful-o-khumar aur be-khudi ki ot mein nigahen ek jahan ki hoshiyariyan liye hue hari-bhari ragon mein wo chahakta bolta lahu wo sochta hua badan khud ek jahan liye hue za-farq ta-qadam tamam chehra jism-e-naznin latif jagmagahaton ka karwan liye hue tabassumash takallume takallumash tarannume nafas nafas mein thartharaata saz-e-jaan liye hue jabin-e-nur jis pe pad rahi hai narm chhut si khud apni jagmagahton ki kahkashan liye hue sitara-bar o mah-chakan o khur-fishan jamal-e-yar jahan-e-nur karwan-ba-karwan liye hue wo zulf-e-kham-ba-kham shamim-e-mast se dhuan dhuan wo rukh chaman chaman bahaar-e-jawedan liye hue ba-masti-e-jamal-e-kaenat, khwab-e-kaenat ba-gardish-e-nigah daur-e-asman liye hue ye kaun aa gaya mere qarib uzw uzw mein jawaniyan, jawaniyon ki aandhiyan liye hue ye kaun aankh pad rahi hai mujh par itne pyar se wo bhuli si wo yaad si kahaniyan liye hue ye kis ki mahki mahki sansen taza kar gain dimagh shabon ke raaz nur-e-mah ki narmiyan liye hue ye kin nigahon ne mere gale mein bahen dal din jahan bhar ke dukh se dard se aman liye hue nigah-e-yar de gai mujhe sukun-e-be-karan wo be-kahi wafaon ki gawahiyan liye hue mujhe jaga raha hai maut ki ghunudgi se kaun nigahon mein suhag-raat ka saman liye hue meri fasurda aur bujhi hui jabin ko chhu liya ye kis nigah ki kiran ne saz-e-jaan liye hue sute se chehre par hayat rasmasati muskuraati na jaane kab ke aansuon ki dastan liye hue tabassum-e-sahar hai aspatal ki udas sham ye kaun aa gaya nashat-e-be-karan liye hue tere na aane tak agarche mehrban tha ek jahan main ro ke rah gaya hun sau gham-e-nihan liye hue zamin muskura uthi ye sham jagmaga uthi bahaar lahlha uthi shamim-e-jaan liye hue faza-e-aspatal hai ki rang-o-bu ki karwaten tere jamal-e-lala-gun ki dastan liye hue 'firaq' aaj pichhli raat kyun na mar rahun ki ab hayat aisi shamen hogi phir kahan liye hue (2) magar nahin kuchh aur maslahat thi us ke aane mein jamal-o-did-e-yar the naya jahan liye hue isi nae jahan mein aadmi banenge aadmi jabin pe shahkar-e-dahr ka nishan liye hue isi nae jahan mein aadmi banenge dewta tahaaraton ka farq-e-pak par nishan liye hue khudai aadmi ki hogi is nae jahan par sitaron ke hain dil ye pesh-goiyan liye hue sulagte dil sharar-fishan o shoala-bar barq-pash guzarte din hayat-e-nau ki surkhiyan liye hue tamam qaul aur qasam nigah-e-naz-e-yar thi tulu-e-zindagi-e-nau ki dastan liye hue naya janam hua mera ki zindagi nai mili jiyunga sham-e-did ki nishaniyan liye hue na dekha aankh utha ke ahd-e-nau ke parda-daron ne guzar gaya zamana yaad-e-raftagan liye hue hum inqilabiyon ne ye jahan bacha liya magar abhi hai ek jahan wo bad-gumaniyan liye hue (3) nae zamane mein agar udas khud ko paunga ye sham yaad kar ke apne gham ko bhul jaunga ayaadat-e-habib se wo aaj zindagi mili khushi bhi chaunk chauk uthi gham ki aankh khul gai agarche doctor ne mujh ko maut se bacha liya par is ke baad us nigah ne mujhe jila liya nigah-e-yar tujh se apni manzilen main paunga tujhe jo bhul jaunga to rah bhul jaunga (4) qarib-tar main ho chala hun dukh ki kaenat se main ajnabi nahin raha hayat se mamat se wo dukh sahe ki mujh pe khul gaya hai dard-e-kaenat hai apne aansuon se mujh pe aaina gham-e-hayat ye be-qusur jaan-dar dard jhelte hue ye khak-o-khun ke putle apni jaan pe khelte hue wo zist ki karah jis se be-qarar hai faza wo zindagi ki aah jis se kanp uthti hai faza kafan hai aansuon ka dukh ki mari kaenat par hayat kya inhen haqiqaton se hona be-khabar jo aankh jagti rahi hai aadmi ki maut par wo abr-e-rang-rang ko bhi dekhti hai sada-tar sikha gaya dukh mera purani pir jaanna nigah-e-yar thi jahan bhi aaj meri rahnuma yahi nahin ki mujh ko aaj zindagi nai mili haqiqat-e-hayat mujh pe sau tarah se khul gai gawah hai ye sham aur nigah-e-yar hai gawah khayal-e-maut ko main apne dil mein ab na dunga rah jiyunga han jiyunga ai nigah-e-ashna-e-yar sada suhag zindagi hai aur jahan sada-bahaar (5) abhi to kitne na-shunida naghma-e-hayat hain abhi nihan dilon se kitne raaz-e-kaenat hain abhi to zindagi ke na-chashida ras hain saikdon abhi to hath mein hum ahl-e-gham ke jas hain saikdon abhi wo le rahi hain meri shaeri mein karwaten abhi chamakne wali hai chhupi hui haqiqaten abhi to bahr-o-bar pe so rahi hain meri wo sadaen samet lun unhen to phir wo kaenat ko jagaen abhi to ruh ban ke zarre zarre mein samaunga abhi to subh ban ke main ufuq pe thartharaunga abhi to meri shaeri haqiqaten lutaegi abhi meri sada-e-dard ek jahan pe chhaegi abhi to aadmi asir-e-dam hai ghulam hai abhi to zindagi sad-inqalab ka payam hai abhi tamam zakhm o dagh hai tamaddun-e-jahan abhi rukh-e-bashar pe hain bahmiyat ki jhaiyan abhi mashiyyaton pe fath pa nahin saka bashar abhi muqaddaron ko bas mein la nahin saka bashar abhi to is dukhi jahan mein maut hi ka daur hai abhi to jis ko zindagi kahen wo chiz aur hai abhi to khun thokti hai zindagi bahaar mein abhi to rone ki sada hai naghma-e-sitar mein abhi to udti hain rukh-e-bahaar par hawaiyan abhi to didani hain har chaman ki be-fazaiyan abhi faza-e-dahr legi karwaton pe karwaten abhi to soti hain hawaon ki wo sansanahaten ki jis ko sunte hi hukumaton ke rang-e-rukh uden chapeten jin ki sarkashon ki gardanen marod den abhi to sina-e-bashar mein sote hain wo zalzale ki jin ke jagte hi maut ka bhi dil dahal uthe abhi to batn-e-ghaib mein hai is sawal ka jawab khuda-e-khair-o-shar bhi la nahin saka tha jis ki tab abhi to god mein hain dewtaon ki wo mah-o-sal jo denge badh ke barq-e-tur se hayat ko jalal abhi rag-e-jahan mein zindagi machalne wali hai abhi hayat ki nai sharab dhalne wali hai abhi chhuri sitam ki dub kar uchhalne wali hai abhi to hasrat ek jahan ki nikalne wali hai abhi ghan-garaj sunai degi inqalab ki abhi to gosh-bar-sada hai bazm aaftab ki abhi to punji-wad ko jahan se mitana hai abhi to samrajon ko saza-e-maut pana hai abhi to dant pisti hai maut shahryaron ki abhi to khun utar raha hai aaankhon mein sitaron ki abhi to ishtirakiyat ke jhande gadne wale hain abhi to jad se kisht-o-khun ke nazm ukhadne wale hain abhi kisan-o-kaamgar raj hone wala hai abhi bahut jahan mein kaam-kaj hone wala hai magar abhi to zindagi musibaton ka nam hai abhi to nind maut ki mere liye haram hai ye sab payam ek nigah mein wo aankh de gai ba-yak-nazar kahan kahan mujhe wo aankh le gai
This is a great avtar pash shayari. True lovers of chahat shayari in english will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore muskurati shayari. Please share if you liked this!!!