wo kab ke aae bhi aur gae bhi nazar mein ab tak sama rahe hain ye chal rahe hain, wo phir rahe hain, ye aa rahe hain wo ja rahe hain wahi qayamat hai qadd-e-baala wahi hai surat, wahi sarapa labon ko jumbish, nigah ko larzish, khade hain aur muskura rahe hain wahi latafat, wahi nazakat, wahi tabassum, wahi tarannum main naqsh-e-hirman bana hua tha wo naqsh-e-hairat bana rahe hain khiram rangin, nizam rangin, kalam rangin, payam rangin qadam qadam par, rawish rawish par nae nae gul khila rahe hain shabab rangin, jamal rangin, wo sar se pa tak tamam rangin tamam rangin bane hue hain, tamam rangin bana rahe hain tamam ranaiyon ke mazhar, tamam ranginiyon ke manzar sambhal sambhal kar simat simat kar sab ek markaz par aa rahe hain bahaar-e-rang-o-shabab hi kya sitara o mahtab hi kya tamam hasti jhuki hui hai, jidhar wo nazren jhuka rahe hain tuyur sarshaar-e-saghar-e-mul halak-e-tanwir-e-lala-o-gul sab apni apni dhunon mein mil kar ajab ajab git ga rahe hain sharab aaankhon se dhal rahi hai, nazar se masti ubal rahi hai chhalak rahi hai uchhal rahi hai, piye hue hain pila rahe hain khud apne nashshe mein jhumte hain, wo apna munh aap chumte hain kharab-e-masti bane hue hain, halak-e-masti bana rahe hain faza se nashsha baras raha hai, dimagh phulon mein bas raha hai wo kaun hai jo taras raha hai? sabhi ko mai-kash pila rahe hain zamin nashsha, zaman nashsha, jahan nashsha, makan nashsha makan kya? la-makan nashsha, dubo rahe hain pila rahe hain wo ru-e-rangin o mauja-e-yam ki jaise daman-e-gul pe shabnam ye garmi-e-husn ka hai aalam, araq araq mein naha rahe hain ye mast bulbul bahak rahe hain, qarib-e-ariz chahak rahe hai gulon ki chhati dhadak rahi hai, wo dast-e-rangin badha rahe hain ye mauj-o-dariya, ye reg-o-sahra ye ghuncha-o-gul, ye mah-o-anjum zara jo wo muskura diye hain wo sab ke sab muskura rahe hain faza ye naghmon se bhar gai hai ki mauj-e-dariya thahar gai hai sukut-e-naghma bana hua hai, wo jaise kuchh gunguna rahe hain ab aage jo kuchh bhi ho muqaddar, rahega lekin ye naqsh dil par hum un ka daman pakad rahe hain, wo apna daman chhuda rahe hain ye ashk jo bah rahe hain paiham, agarche sab hain ye hasil-e-gham magar ye malum ho raha hai, ki ye bhi kuchh muskura rahe hain zara jo dam bhar ko aankh jhapki, ye dekhta hun nai tajalli tilism surat mita rahe hain, jamal mani bana rahe hain khushi se labrez shash-jihat hai, zaban par shor-e-tahniyat hai ye waqt wo hai 'jigar' ke dil ko wo apne dil se mila rahe hain
Please share if you liked this!!!