aa gaya jab se nazar wo shokh harjai mujhe ku-ba-ku dar dar liye phirti hai ruswai mujhe kaam aashiq ko kisi ki aib-bini se nahin husn-bini ko khuda ne di hai binai mujhe jaur sahta hun buton ke na-tawani ke sabab dil utha lun is qadar kab hai tawanai mujhe jis tarah aata hai piri mein jawani ka khayal wasl ki shab yaad roz-e-hijr mein aai mujhe ginti ek ek nam ki har gor mein murde hain dafn baad-e-murdan bhi hui dushwar tanhai mujhe misl-e-saghar bazm-e-alam mein main kab khandan hua kis liye deta hai gardish charkh-e-minai mujhe ain danai hai 'nasikh' ishq mein diwangi aap saudai hain jo kahte hain saudai mujhe