aa gaya kaun sar-e-bazm ye saqi ban ke zindagi jhum uthi turfa sharabi ban ke ek sangin haqiqat hai mera khun-e-junun daman-e-gul mein mahakta hai kahani ban ke ab to mahrumi-e-daman nahin dekhi jati tum baras jao kabhi yaadon ke moti ban ke aaj jo shirin adaon mein basar hoti hai kal yahi jam mein ghul jaegi talkhi ban ke ku-ba-ku dhundhegi ek roz nigah-e-duniya hum jo qurbat mein teri kho gae duri ban ke aaina jab bhi koi un ke muqabil hoga hum utar jaenge aks-e-rukh-e-mazi ban ke tut jaenge bahut waqt ke shane 'nazim' hum bikhar jaenge jab kakul-e-geti ban ke