aa kar uruj kaise gira hai zawal par hairan ho raha hun sitaron ki chaal par ek ashk bhi dhalak ke dikhae ab aankh se main sabr kar chuka hun tumhaare khayal par aa aa ke us mein machhliyan hoti rahin farar hansti hai jal-pari bhi machheron ke jal par mayus ho ke dekhna kya aasman ko udne ka shauq hai to meri jaan nikal par main tang aa chuka hun ki samjhaun kis tarah ek roz chhod dunga tujhe tere haal par kuchh yaad hai ki main ne banae the tere naqsh phir itna naz kyun hai tujhe khadd-o-khal par misl-e-gulab aap jo mahke hain bagh mein bosa wasul kijiye titli ka gal par tafriq kis tarah se karoge yahan pe 'zeb' insan likha hua hai darindon ki khaal par