aa ke jab khwab tumhaare ne kaha bismillah dil musafir thake-haare ne kaha bismillah hijr ki raat mein jab dard ke bistar pe gira shab ke bahte hue dhaare ne kaha bismillah sham ka waqt tha aur naw thi sahil ke qarib panw chhute hi kinare ne kaha bismillah ajnabi shahr mein tha pahla padaw mera baam se jhuk ke sitare ne kaha bismillah maut si sardi thi jab rakh mein dala tha hath ek nanhe se sharare ne kaha bismillah ladkhadae jo zara panw to ek shor hua qafile sare ke sare ne kaha bismillah na-khuda chhod gae bich bhanwar mein to 'zafar' ek tinke ke sahaare ne kaha bismillah