aa ki chahat wasl ki phir se badi pur-zor hai aa ki dil mein hasraton ne phir machaya shor hai aa ki ab to dur tak khushbu ki chadar bichh gai aa ki rukh baad-e-saba ka apne ghar ki or hai aa ki phir se chand par dilkash jawani aa gai aa ki phir se aaj-kal angdaiyon ka zor hai aa ki kaliyon ke chatakhne ka wo mausam aa gaya aa ki dil mein dhadkanon ka ek anokha shor hai aa ki jugnu kar rahe raaton mein tikhi raushni aa ki phir se raqs mein kali ghata ghanghor hai aa ki phir baadal tere aane ki dete hain khabar aa ki phir ab mastiyon mein apne man ka mor hai aa ki ab to dam bhi hai jaise labon tak aa gaya aa ki tere hath mein ab zindagi ki dor hai aa ki mausam ka asar 'azim' pe ab hone laga aa ki taqat zabt ki ab ho chali kamzor hai