aa meri chashm-e-pur-khumar mein aa aa mere sina-e-figar mein aa aa ki tere baghair kaif nahin meri gham aafrin bahaar mein aa dil ko tere sada qarar nahin aa is ujde hue dayar mein aa ruh ko tab-e-intizar nahin mere tarse hue kanar mein aa dida-e-tar pukarte hain tujhe aa kabhi bazm-e-sogwar mein aa aaj 'mazhar' tujhe pukarta hai aaj aa sahn-e-lala-zar mein aa