'aali' ji ab aap chalo tum apne bojh uthae sath bhi de to aakhir pyare koi kahan tak jae jis suraj ki aas lagi hai shayad wo bhi aae tum ye kaho khud tum ne ab tak kitne diye jalae apna kaam hai sirf mohabbat baqi us ka kaam jab chahe wo ruthe hum se jab chahe man jae kya kya rog lage hain dil ko kya kya un ke bhed hum sab ko samjhane wale kaun hamein samjhae ek isi ummid pe hain sab dushman dost qubul kya jaane is sada-rawi mein kaun kahan mil jae duniya wale sab sachche par jina hai us ko bhi ek gharib akela papi kis kis se sharmae itna bhi majbur na karna warna hum kah denge o 'aali' par hansne wale tu 'ali' ban jae