aabaad ab na hoga mai-khana zindagi ka labrez ho chuka hai paimana zindagi ka aa khwab mein kisi din ai rashk-e-mah-e-taban kar de zara munawwar kashana zindagi ka wo taza dastan hun marne ke baad un ko aaega yaad mera afsana zindagi ka parda zara utha de banki idaron wale afsana kahne aaya diwana zindagi ka ummiden mit na jaen nazren na pher zalim barbaad kar na mera kashana zindagi ka hai waqt-e-naza zalim baalin pe dekh kar dam todta hai kaise diwana zindagi ka khun-e-jigar baha kar aankhon se apni 'anwar' rangin kar raha hun afsana zindagi ka