aabla-pa koi guzra tha jo pichhle san mein surkh kanton ki bahaar aai hai ab ke ban mein dekhna rang-e-badan yar ke pairahan mein chandni dudh si chhitki hai mere aangan mein dekhna dida-waro aamad-e-tufan to nahin tapki hai dard ki ek bund mere daman mein main ham-aghosh-e-sanam tha magar a pir-e-haram ye shikan kaise padi aap ke pairahan mein kuchh na kuchh aaj asiron ne kaha to hai zarur ek ek gul se lipatti hai saba gulshan mein sahal itne bhi nahin ai sitam-ijad ki hum tham lete hain gareban diwane-pan mein sar taslim nahin bazu-e-qatil ka jawab aakhirash mare gae khud bhi masiha an mein ja rahe ho to zara dekhna tum bhi 'majruh' meri aankhen wahin zindan ke kisi rauzan mein