aable paon ke kya tu ne hamare tode khar-e-sahra-e-junun arsh ke tare tode zaqan o rukh mein na jasuson se baqi rakkhi samar-e-gul chaman-e-husn ke sare tode silsila apni giraftari ka kab qata hua pahni pazeb unhon ne jo utare tode mast mujh sa bhi koi nashsha ka hoga na haris pi ke mai jam ke danton se kinare tode sharbat-e-wasl hai tanqid ki khatir maujud tap-e-hijr aa ke badan ko na hamare tode khatm duzdida nigah par hai teri tarrari dil nahin tode ahibba ke pitare tode aa gaya wo shajar-e-husn nazar jab hum ko bosa le kar lab-e-shirin ke chuware tode ishq be-dard se karne ko kaha tha kis ne sar ko takra ke na dil dard ke mare tode kunj-e-uzlat mein bithaya hai khuda ne 'atish' ab jo tum yan se hile paon tumhaare tode