aadha jiwan bita aahen bharne mein aadhi umr tawazun qaem karne mein duniya to patthar hai patthar kya jaane kitne aansu chikh rahe hain jharne mein ek tufan aur ek jazira hail hai dubne aur samundar par utarne mein ek pal jod raha hai do duniyaon ko ek pal hail hai jine aur marne mein marne wala dekh raha tha sab natak sab masruf the apni jeben bharne mein