aadmi ke dard ka is tarah darman kijiye

aadmi ke dard ka is tarah darman kijiye
asl iman mawara-e-kufr-o-iman kijiye

meri khakistar mein baqi hai jo bu-e-ashiyan
bijliyon ka zikr kya fikr-e-gulistan kijiye

gar kamal-e-zauq-e-gulshan bu-e-gul banne mein hai
zarra zarra khak ka apni gulistan kijiye

gar farogh-e-zindagi khud ko mita dene mein hai
zauq-e-khud-bini mita kar fikr-e-insan kijiye

apne armanon ki duniya mein to duniya rah chuki
jis mein duniya hi simat aae wo arman kijiye

apne gham ko rote rahna laeq-e-insan nahin
gahe-gahe dusron ke gham ka farman kijiye

zauq-e-tausia-e-mohabbat ka hai aalam muntazir
dard-e-alam hi ko apna monis-e-jaan kijiye

lutf-e-hasti khak-e-mai-khana hi ban jaane mein hai
khud ko misl-e-khak-e-pak-e-pa-e-rindan kijiye

aalam-e-imkan mein ho 'anwar' naya aalam bapa
dusron ke waste gar khud ko qurban kijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close