aae tere qarib magar dur ho gae

aae tere qarib magar dur ho gae
hum dil ke hathon kis liye majbur ho gae

dastur kya ajib tha patthar ke shahr ka
aaine hasraton ke sabhi chur ho gae

samjhega kaun ahl-e-junun ke muamlat
ruswa hue to aur bhi mashhur ho gae

yun phal lage ki shakh-e-samar-bar jhuk gai
phulon bhare darakht bhi maghrur ho gae

chaaragaron ke pas nahin tha ilaj-e-gham
sine mein jitne zakhm the nasur ho gae

duniya ko zer karne ka fan jaante na the
jo apni khwahishat se majbur ho gae

samjhega 'raj apni tabiat ko koi kya
hanste hue hum aur bhi ranjur ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close